Wednesday, 1 May 2013

Mere mehboob ko dekha hi nahi

Tu ne shayad mere mehboob ko dekha hi nahi

Kyun usey tuu ne bas ek phool kaha hai mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

Tu jise itni haseen cheez samajhta, hai wo Phool
Sookh jaaye to nigaahon ko bura lagta hai
Phool ka apna koi rang koi Roop nahi
Uske jore mai saja ho to bhala lagta hai
Mera mehboob to har waqt naya hai mere Dost

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

Mere Mehboob ke jalwon ka nahi koi Jawaab
Dhoop sa rang hai aur khud hai wo chha’aoon jaisa
Uski payal mai Barsaat ka mausam chhanke
Sar pe resham ka dupatta hai ghatao jaisa
Wo jahan bhar ke hasino se juda hai Mere Dost

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

Mere mehboob ki ankhen hain do gehri jheelien
Jin mai khilte hain mere waste chahat ke kamal
Unko dekhun to mujhe shayari karni aa jaaye
Aur mai uske lye Gau mohabbat ki ghazal
Wo mere dil ke dharakne ki sada hai mere Dost

Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi

                        Arjun singh arya.
                        15/01/2013   1:42am

No comments:

Post a Comment